Aaj ke yug me jab mahilae itni busy aur tanav yukt rehti hai to garbh dharan karna aasaan nahi hota. Kosish karne par aap safal rahe to kaise pata chalega ki aap pregnant hai? Pregnancy ke chinha aur lakshan kya hai. Aage padhiye aur jaaniye pregnancy symptoms in hindi.
Pregnancy ka chakkar
Mahila ko mahvari hone ke 14 din par taaja andha taiyar ho ke ovulation ke din par apni musafiri shuru karta hai fallopian tube dwara garbhashay ke taraf. Ovulation ya us ke bad ke din agar raaste me use shukranu miljaye to suhana milan hota hai. Ise kehte hai fertilization. Is mauke par bahut kam aise mahilae hai jinhe kuch halka sa ahsaas hota hai. Ab yeh fertilized anda aage badhta hai aur raste me cell division hone lag jaata hai.
3-4 dino me yeh garbhashay tak pabhunch jaata hai aur yahan par 2-3 dino tak aise hee rehta hai. Ab yeh cells agar garbhashay ke andar ke star par sthapit ho jaaye to ise implantation kehte hai. Jo fertilization ke 6 dino me ho jaata hai aur 3-4 dino me poorna ho jaata hai. Sthapit hone par mahila ko garbhvati maana jaa sakta hai. Kai baar aisa bhee hota hai ki yeh fertilized egg bahar nikal jaata hai. Pregnant yane garbhvati hone par pratham lakshan pragat hote hai.
Early Pregnancy symptoms in Hindi
Pehle 4 weeks me yaane ke mahavri ke baad ke hafte me halke se pregnancy ke lakshan hote hain.
- Jaaniye 1st week me pregnancy symptoms before missed period in Hindi. First week pregnancy symptoms before missed period itne halke hote hai ki mahila in par jyaada dhyan nahin deti hai. Garbh theherne par thakaan adhik lagta hai, aisa lagta hai pet fool gaya hai, mood theek nahin rehta hai, peshab jyaada hota hai aur stan thode nazuk mehsoos hote hai. Yeh sabhi lakshan ek-saath prakat nahin hote isiliye koi bhi ek lakshan ho to uspe khaas dhyan nahi diya jaata. Yeh hai pregnancy symptoms in Hindi before missed period
- Agla period agar miss ho jaaye to mahila jaagrut ho jaati hai aur soch me pad jaati hai ki kya voh pregnant hai. Tab tak to aisa hee maanti hai ki tabiyat kuch kharab ho gayi hai.
- Symptoms of pregnancy in the first week in Hindi bataye to stano ke nipples ke aaju baaju ka bhaag gehra rang ka ho jaata hai.
- Fertilization hone par sharir me hormones ki maatra bad jaati hai. Very early symptoms of pregnancy first week yeh hai ki ulti jaisa kabhi kabhi feel hota hai. Kai mahilao me yeh bhi dekha gaya hai ki gandh ki shakti tej ho jaati hai. Teesra chinha yeh hai ki savere body ka temperature sadharan se uncha rehta hai 1 degree se. Kai mahilao me sar dard hone lagta hai aur chakkar bhi aata hai kyonki blood pressure kam ho jaata hai. Kai mahilao ko sapne rangeele aate hai to kai mahilao ko mooh me ajeeb sa taste hota hai.
Must read: GHARELU NUSKHE FOR STRETCH MARKS TREATMENT IN HINDI
- First month pregnancy symptoms in hindi me ek aur baat ho sakti hai ki khoon ke do-teen boond lag jaate hai underwear me. Yeh tab hota hai jab bhrun garbhashay me sthapit ho jaata hai. Ab pregnancy jaise aage badhti hai to aur lakshan pragat hote hai. Thos pregnant hone ke lakshan doosre mahine me yaane ki period miss ho jaaye tab pragnant hone lagte hai. Pehle ke jo lakshan hai us me badhaava hota hai. Stano me najukta, sar me dard, thakaan, ulti, tej dil ki dhadkan aur baari-baari peshaab aana yeh sabhi lakshan 8 hafte me saaf anubhav hone lagte hai. Jab period miss ho jaaye tab mahila in sabhi pregnancy ke lakshan par gaur karti hai aur sochti hai ki kya voh pregnant hai. Pregnancy symptoms ek do din me mit nahin jaata hai jis se andaza lagaya jaa sakta hai ki garbh theher gaya hai aur doctor se ya apne ghar par pregnancy test kar ke nischay kiya jaa sakta hai.